
Agli subah jab Ramesh Sahab yaani Nisha ke papa unse milne ghar aaye, toh Dev aur uske mummy papa drawing room mein unke sath baithe the. Sabhi ke dimaag mein kal subah wala sannaata kahin na kahin chal raha thaa, isliye mahaul thoda gambhir thaa.
Usi waqt Nisha bedroom se baahar aayi. Usne Ramesh Sahab ko dekha, par is baar na toh wo darr kar bhaagi aur na hi usne kal subah ki tarah bedroom ki koi baat baahar nikali.







Write a comment ...