
Agli shaam pura penthouse roshniyon se naha chuka tha magar Zoya ke dil mein sirf andhera tha. Aryan ne uske liye ek gehri laal rang ki silk saree bheji thi. Jab Zoya ne khud ko aaine mein dekha, to wo pehchan nahi payi. Saree ka rang bilkul khoon jaisa tha, waisa hi jaisa Aryan ka mijaaz tha.
Aryan kamre ke bahar khada uska intezaar kar raha tha. Wo ek black tuxedo mein kisi purani kahani ke zalim rajkumar jaisa lag raha tha. Jaise hi Zoya bahar aayi, Aryan ki nazrein us par tik gayi. Kuch palon ke liye uski sakhti kam hui magar usne fauran khud par kaabu paa liya.

Show your support




Write a comment ...