
Hospital ka mahool thoda sanjida tha, lekin Salma Bi jahan hon wahan mahool garam na ho, aisa ho hi nahi sakta. Haya ka 7th month check-up tha, aur Arsalan use lekar shehar ke sabse bade private hospital pahuncha. Salma Bi ne pehle hi wahan ke ek "VIP Private Cabin" ka intezam kar rakha tha taaki Haya ko koi pareshani na ho.
Hospital ke cabin mein Haya ek safed naram gown pehne bed par leti thi. Arsalan paas baitha uska hath thame hue tha. Tabhi Salma Bi dakhil huin, unke saath ek lady doctor thin jo Salma Bi ki purani jaan-pehchan wali thin.

Show your support









Write a comment ...