
Meera ki pregnancy ke kuch mahine beet chuke the, aur ab uske andar naye naye cravings ka daur shuru ho gaya tha. Ghar ka mahaul ab pehle se kahi zyada rangin aur shor sharabe wala ho gaya tha.
Ek baar ki baat hai, dopahar ka waqt tha. Meera ki aankh khuli toh usse achanak khatti meethi imli ki chutney aur garam garam samoson ki chahat hui. Usne Dev ko awaz di, par Dev tabhi business ke kaam se bahar gaya tha.

Show your support







Write a comment ...